Latest Urdu Ghazal Shayari 2021 - Sochta hon woh ab kisay khafa karti hogi

 

Latest Urdu Ghazal Shayari 2021  - Sochta hon woh ab kisay khafa karti hogi

Sochta hon woh ab kisay khafa karti hogi
Meri terhan majabuuriyon se wafa karti hogi

Jab tak shaamil hon is ki aarzoo mein
Mujhe yaqeen hai woh zindagi ki dua karti hogi

Aaina tanz karta hoga ankhen bhar aati hogin
Woh jab majabuuriyon mein saja karti hogi

Mein bhi yaad aata honga usay jab kabhi
Woh phir viran raastoon ko takka karti hogi

Itna to waaqif hon mein is ke mizaaj se
Mere naam par ghar walon se lara karti hogi

Rota hon shab bhar is ki tasweer dekh ke
Woh bheegi aankhon se khawab dekha karti hogi

Woh daar zabt mein yun bhi sar-e shaam kahin
Ansoo ki barf se aksar jala karti hogi

Rakhti hogi aaj bhi wohi pyaas labon pay
Rasm-e duniya mein honton se dagha karti hogi

Muddaton pehlay tujh se bichrri hoai larki ahsen
Ab bhi tujhe har mourr pay sanbhala karti hogi


Yeh fakhr to haasil hai buray hain ke bhallay hain
Do chaar qadam hum bhi teray sath chalay hain

Jalna to charaghoon ka muqaddar hai azal se
Yeh dil ke kanwal hain ke bujhe hain nah jalay hain

Thay kitney setaaray ke sar-e shaam hi doobe
Hungama sehar kitney hi khurshid dhaly hain

Jo jheel gaye hans ke kari dhoop ke tevar
Taron ki khank chaon mein woh log jalay hain

Aik shama bujhai to kayi aur jala len
Hum gardish e dauraa se bari chaal chalay hain

Rudaad mohabbat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye
Do din ki musarrat kya kahye kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Jab jaam diya tha saqi ney jab daur chala tha mehfil mein
Ik hosh ki saa-yat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Ab waqt ke naazuk honton par majrooh tarannum raqsaan hai
Beddad mushiyat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Ehsas ke me khanaay mein kahan ab fikar o nazar ki qandelain
Alaam ki shiddat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Kuch haal ke andhay saathi thay kuch maazi ke ayyar sjn
Ahbaab ki chahat kya kaheya kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Kaanton se bhara hai daman dil shabnam se sulagti hain palken
Phoolon ki sakhavat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Ab apni haqeeqat bhi saghar be rabt kahani lagti hai
Duniya ki haqeeqat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye

Sawal yeh hai jo cheez jaisay dikhti hai
Usay waisay hi paish kyun nah kya jaye

Apne andar dabe awazon ko
Bahar kyun nah laya jaye

Raah se bhatak gay hain ensaan
Unkay jazbaton ko ubhara jaye

Kyun habs zada mahol mein
Khud ko yun hi mara jaye

Baatil ke khilaaf sab ko mila kar
Aik hi awaz mein chekha jaye

Bohat taskeen mil rahi hai aaj kal
Kyun nah zakhamo ko kureda jaye


Mujh mein hain khamiyan yeh bta rahay hain
Andhay mujhe aaina dikha rahay hain
Zulm hai ke khail qood ki umar mein
Bachay baston ka boojh utha rahay hain
Us mein hai kashish saqal zamee jaisi
Hum us ki janib kheinchain ja rahay hain
Kuch log namazain ada karne ke baad
Hmsayon ki deewar gira rahay hain
Ab bhi kam shanaas hain yeh duniya walay
Pathar ki khatir heray ganwaa rahay hain


Post a Comment

0 Comments