Phool Gul Shams o Qamar Saare Hi The | mirza ghalib shayari | mirza ghalib shayari new poetry images

 


Phool Gul Shams o Qamar Saare Hi The
Par Humain Un Mai Tumhen Bhaaye Bahut

پھول گل شمس و قمر سارے ہی تھے

پر ہمیں ان میں تمہیں بھائے بہت

फूल गुल शम्स ओ क़मर सारे ही थे

पर हमें उन में तुम्हीं भाए बहुत





..................................................................................................


Na Bandhe Tishnagi-e-Zauq Ke Mazmun



Na Bandhe Tishnagi-e-Zauq Ke Mazmun ‘Ghalib’
Garche Dil Khol Ke Dariya Ko Bhi Sahil Bandha

نہ بندھے تشنگی ذوق کے مضموں غالبؔ

گرچہ دل کھول کے دریا کو بھی ساحل باندھا

न बंधे तिश्नगी-ए-ज़ौक़ के मज़मूँ ‘ग़ालिब’

गरचे दिल खोल के दरिया को भी साहिल बाँधा


Zoaf Se Girya Mubaddal Ba-Dam-e-

Zoaf Se Girya Mubaddal Ba-Dam-e-Sard Hua
Bavar Aaya Hume Pani Ka Hawa Ho Jaana

ضعف سے گریہ مبدل بہ دم سرد ہوا

باور آیا ہمیں پانی کا ہوا ہو جانا

ज़ोफ़ से गिर्या मुबद्दल ब-दम-ए-सर्द हुआ

बावर आया हमें पानी का हवा हो जाना




Zindagi Mai To Wo Mehfil Se Utha Dete The
Dekhun Ab Mar Gaye Par Kon Uthata Hai Mujhe

زندگی میں تو وہ محفل سے اٹھا دیتے تھے

دیکھوں اب مر گئے پر کون اٹھاتا ہے مجھے

ज़िंदगी में तो वो महफ़िल से उठा देते थे

देखूँ अब मर गए पर कौन उठाता है मुझे


Zindagi Apni Jab Is Shakl Se Guzari

Zindagi Apni Jab Is Shakl Se Guzari ‘Ghalib’
Hum Bhi Kya Yaad Karenge K Khuda Rakhte The

زندگی اپنی جب اس شکل سے گزری غالبؔ

ہم بھی کیا یاد کریں گے کہ خدا رکھتے تھے

ज़िंदगी अपनी जब इस शक्ल से गुज़री ‘ग़ालिब’

हम भी क्या याद करेंगे कि ख़ुदा रखते थे



Zikr Us Pari-Vash Ka Aur Phir Bayan Apna


Zikr Us Pari-Vash Ka Aur Phir Bayan Apna
Ban Gaya Raqib Akhir Tha Jo Raz-Dan Apna

ذکر اس پری وش کا اور پھر بیاں اپنا

بن گیا رقیب آخر تھا جو رازداں اپنا

ज़िक्र उस परी-वश का और फिर बयाँ अपना

बन गया रक़ीब आख़िर था जो राज़-दाँ अपना



Zamana Sakht Kam-Azar Hai Ba-Jaan-

Zamana Sakht Kam-Azar Hai Ba-Jaan-e-Asad
Vagarna Hum To Tavaqqo Zyada Rakhte Hain

زمانہ سخت کم آزار ہے بہ جان اسدؔ

وگرنہ ہم تو توقع زیادہ رکھتے ہیں

ज़माना सख़्त कम-आज़ार है ब-जान-ए-असद

वगर्ना हम तो तवक़्क़ो ज़ियादा रखते हैं


Zeher Milta Hi Nahi Mujh Ko Sitamgar

Zehar Milta Hi Nahi Mujh Ko Sitamgar Warna
Kya Kasam Hai Tere Milne Ki k Kha Bhi Na Sakun

زہر ملتا ہی نہیں مجھ کو ستم گر ورنہ

کیا قسم ہے ترے ملنے کی کہ کھا بھی نہ سکوں

ज़हर मिलता ही नहीं मुझ को सितमगर वर्ना

क्या क़सम है तिरे मिलने की कि खा भी न सकूँ





Zuban Pe Bar-e-Khudaya Ye Kis Ka





Zuban Pe Bar-e-Khudaya Ye Kis Ka Naam Aaya
K Mere Nutq Ne Bosa Mere Zuban Ke Liye

زباں پہ بار خدایا یہ کس کا نام آیا

کہ میرے نطق نے بوسے مری زباں کے لیے

ज़बाँ पे बार-ए-ख़ुदाया ये किस का नाम आया

कि मेरे नुत्क़ ने बोसे मिरी ज़बाँ के लिए


Ye Na Thi Humari Kismat Ki Wisal-e



Ye Na Thi Humari Kismat Ki Wisal-e-Yaar Hota
Agar Aur Jeete Rahte Yahi Intezar Hota

یہ نہ تھی ہماری قسمت کہ وصال یار ہوتا

اگر اور جیتے رہتے یہی انتظار ہوتا

ये न थी हमारी क़िस्मत कि विसाल-ए-यार होता

अगर और जीते रहते यही इंतिज़ार होता


ham ko ma.alūm hai jannat haqīqat lekin

dil ke ḳhush rakhne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai

ishq ne 'ġhālib' nikammā kar diyā

varna ham bhī aadmī the kaam ke

is sādgī pe kaun na mar jaa.e ai ḳhudā

laḌte haiñ aur haath meñ talvār bhī nahīñ









Post a Comment

0 Comments